Dargah e Gaffaria

AwliyaAllah se Mohabbat

Bismillah Alhamdulillah Assalaatu wassalaam alaika yaa rasool allah sallelahu alaihi wassallem
Hazrat Abu Huraira Radiallahu tala anhu say Marvi (rivaayat hai ki) hai kee Huzoor Nabi Akram Sallellahu Alaihi Wassalem nay farmaya:
Jab Allah Ta’Ala kisi bandey say muhabbat kartaa hai to hazrath jibrayeel alaihi assalaam ko bulata hai (aur Hukum detaa hai) kay Allah Ta’ala Falaa bandey say muhabbat kartaa hai Lihaza tum bhee us say muhabbat karoo, To hazrath Jibrayeel alahi assalaam us say muhabbat kartey hain, phir hazrat jibrayeel alaihi assalaam Aasmaani maqlooq main nidaa detey hain kay allah ta’ala falaa shaqs say muhabbat kartaa hai lihaza tum bhee us say muhabbat karoo,
Phir Aasmaan valey bhee us say muhabbat karney lagtey hain aur zameen (walon ke dilon) main bhee us kee maqbooliyat rakh diye jaatey hain