Dargah e Gaffaria

Baregaahe Nabavi men Beadabi karnewaale ki alaamat

 

Baaregahe Nabavi (alaihissalam) men Beadabi karnewaale

Hazarat Abu saeed Khudri rz se riwayat hai unhon ne farmaya ke Hazarat Ali ibn AbiTaalib rz ne Yemen se sone ka ek tukda saaf liye huye chamde men lapta huva Rasoolallah alaihissalam ke khidmat men ravana farmaya. woh abhi mitti se alahida nahin kiya gaya tha Raavi ka bayaan hai ke Rasoolallah alaihissalam ne 4 aadmiyon me taqseem farmadiya. 1.Uyaina bin Badr Al-Fazari, 2.Al-Aqra’ bin Habis Al-Hanzali 3.Zaid AI-Khail At-Ta’i 4.Alqama bin ‘Ulatha Al-‘Amiri bin tufail hai.
yeh haal dekhkar aapke Ashaab men se kisi ne kaha hum unlogon men us sone ke zyada haqdaar thhe. Rasoolallah alaihissalam ko yeh qabar pahunchi to Aap alaihissalam ne farmaya  tum log mujhpe Etimaad nahin karte halaanke us Parwardigaar ko mujh par Aetbaar hai jo Aasmano par hai aur subah va shaam mere paas Aasmani qabar (wahi) Aati rehti hai.
Raavi ka bayaan hai ke us waqt aek aur shaqs khada huva jis ki Aankhen dhansi huvi, ruqsaar phoole huve, peshaani ubhri huvi, ghani dhaadi, sar munda aur unch aazar baandhe huye tha. Kehne laga Ya Rasoolaallah (alaihissalam)! ALLAH SE DARIYE. Aap alaihissalam ne farmaya teri qaraabi ho. Kya tamam rooye jameen ke logon men ALLAH (subhana va taala) se darne kamein jiyada haqdaar nahin hun?
Raavi kehta hai ke phir woh shaks chala gaya toh Hazarat Khalid bin waleed rz ne kaha Ya Rasoolallah alaihissalam main uski gardan na udadun? Nahin shayad woh namaaz padhta ho. Hazarat Khalid rz ne arz kiya bahut se namaaziBahut se namaazi aise hote hain ke Muhn se aise baate kehte hain jo unke dil men nahin hoti. Aap alaihissalam ne farmaya Mujhe kisi ke dil tatolne ka aur pet cheer ne ka hukm nahin diya gaya hai.
Raavi ka bayaan hai ke phir Aap alaihissalam ne usketaraf (beadab)dekha  jabke woh peeth modkar jaaraha tha aur farmaya us shaqs ki nasal se aise Qaum niklegi ke Kitabullah ki tilaawat se unki jabaan tarhogi halaanke woh kitaab unke halaq ke neeche nahin utregi. woh deen se istarah qaariz hojaayenge ke jaise teer shikaar ke paar nikal jaata hai.Raavi kehta hai mere qayaal ke mutabiq Aap alaihissalam ne yeh bhi farmaya agar WOH QAUM MUJHE MILE TO MAIN UNHE QAUME SAMOOD KI TARAH QATAL KARDOON. (Najhatul qaari 1780)